Tags

, ,

 Given below is a poem written by Poet Shahryar.

Ek Kaali Nazm

Main kore kaaghaz par likhoon phir ek kaali nazm
Alakh jagaate sannaton se phir se sajaoon bazm
Gaddar amroodon ki khushbu paagal kar jaaye
Meri in khaali aankhon ko jal thal kar jaaye
Door darindon ki awaazen khud se ladti hon
Mere uske beech mein lambi raaten padti hon
Shiknon se aari ek bistar mujhko takta ho
Jism mera jab aadha sota aadha jagta ho
Tab mein karoon ye azm
Ki likhoon koi kaali nazm

Translation:

A Black poem
Once again let me write a black poem on virgin paper
Let me light up this darkness with unseen, formless silences
The smell of unripe guavas muddles me
it makes my empty eyes brim with wetness
far away wild animals growl and snap at each other
between us lie endless nights
An uncreased bed stares at me
my body half sleeps, half awakens
And i resolve to write a blank poem.