Tags
Ahmed Faraz born Syed Ahmad Shah on 12 January 1931 in Kohat died 25 August 2008) was a Urdu Poet. He was acclaimed one of the modern Urdu poets of the last century. ‘Faraz’ is his pen name.
Given below is an amazing poem called ‘ Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain’. This poem has a very understated yet lilting romance.
sunaa hai log use aaNkh bhar ke dekhte haiN
so us ke shah’r meN kuchh din Thahar ke dekhte haiN
sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloN se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte haiN
(rabt : closeness)
sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii
so ham bhii us kii galii se guzar ke dekhte haiN
(chashm-e-naazuk : delicate eyes; gaahak : customer)
sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shaGhaf
so ham bhii mojaze apne hunar ke dekhte haiN
(shaGhaf : interest; mojaze : miracles)
sunaa hai bole to baatoN se phuul jhhaRte haiN
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiN
sunaa hai raat use chaaNd taktaa rahtaa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte haiN
(baam-e-falak : terrace of the horizon)
sunaa hai hashr haiN us kii Gazaal sii aaNkheN
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiN
sunaa hai din ko use titaliyaaN sataatii haiN
sunaa hai raat ko jugnuu Thaher ke dekhte haiN
sunaa hai raat se baRh kar haiN kaakuleN us kii
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhte haiN
(kaakul : tresses)
sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aah bhar ke dekhte haiN
(surmaafarosh : kohl vendors)
sunaa hai us ke laboN se gulaab jalte haiN
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte haiN
sunaa hai aa’iinaa tamsaal hai jabiiN uskii
jo saadaa dil haiN ban saNvar ke dekhte haiN
sunaa hai jab se hamaail haiN us kii gardan meN
mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhte haiN
(hamaail : something to wear around the neck)
sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan meN
palang zaave (?) us kii kamar ke dekhte haiN
(chashm-e-tasavvur : eyes of imagination)
sunaa hai us ke badan ke taraash aise haiN
ke phuul apanii qabaayeN katar ke dekhte haiN
(qabaayeN : tunic)
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahiiN
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte haiN
(sarv-qad : tall and graceful; shaguufe : bud; samar : fruit)
bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhte haiN
(rah-ravaa.N : travellers)
sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makiiN udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte haiN
(shabistan : bedroom; muttasil : near; makiin : tenant)
ruke to gardisheN us kaa tavaaf kartii haiN
chale to us ko zamaane Thaher ke dekhte haiN
(gardish : time)
kise nasiib ke be-pairahan use dekhe
kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhte haiN
(be-pairahan : without clothes)
kahaaniyaaN hii sahii sab mubaalaGe hii sahii
agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhte haiN
(mubaalaGe : beyond one’s limits)
ab us ke shahar meN ThahareN ki kuuch kar jaayeN
“Faraz” aao sitaare safar ke dekhte haiN
Ahmed Faraz
You can hear the Ghazal below:
“Suna Hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz uss ki”
not chashm-e-nazuk,,,
Agreed (y)
Hhhhi
Please write some more meanings, mujhe kuch shabd he jinke matlwb samajh nhi aaye
Suna hai jub sy hawiil hai us ki gardan main
sunaa hai din mein use titaliyaaN sataatii haiN
sunaa hai raat ko jugnuu Thaher ke dekhte haiN :-)
ahmed faraz ki shayri naujwan dlon ki dhadkan ki awaz hai
sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloN se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte haiN
sunaa hai bole to baatoN se phuul jhhaRte haiN
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiN
sunaa hai raat use chaaNd taktaa rahtaa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte haiN
naujawan dilwn ki dhadkan ki awaz ahmed faraz ki yeh gazal hai
Kise nasib ke bepairahan use dekhe
Kabhi kabhi daro deewar ghar ke dekhte hain…
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahiiN
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte haiN
bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhte haiN
Bhot khoob likha he. Koi misal nahi Ahmad faraz ki shayri ki.
Suna hai dard-e-gahak hai chashm-e-nazuk uski
so hm bhi uski gali se guzar kr dekhte hai…
This poem is really very nice. I love it…!
kabhii kabhii dar o deewaar ghar ke dekhte hai waah awessom sir ji_____i love it____
umda sir___bahot Hi umda___thank you___
Reblogged this on farooqahmed_khan and commented:
So beautiful.
Reblogged this on જેતલવાસણા and commented:
Pingback: Ahmed Faraz- Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain – A datapost’s Blog
vry nicely writtn :)
Afreen Afreen…