Tags
Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai
shikast – defeated; Munsif – judiciary/judge; Ilzaam – accusation
Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai
Bhanwar-whirlpool; Sehra – desert
Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai
Ghaav-wound
Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai
Kohra- mist, dhund
Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai
Maqtal – place of slaughter or execution
– Written by Anand Halve
Advertisements