Tags

,

Urduwallahs ki taraf se aap sabhi ko naya saal mubarak. Naye saal ki ibteda karte hai maqbool Ghalib ke qalam se…

Ek brahman ne kaha hai ki ye saal accha hai…

zulm ki raat bahut jaldi dhalegi ab to..
aag chulhe me har ek roz jalegi ab to

bhookh ke maare koi baccha nahi royega..
chain ki neend har ek shaks yahan soyega

aandhi nafrat ki chalegi na kahin ab ke baras..
pyaar ki fasl ugaayegi zameen ab ke baras

hai yakeen ab na koi shor sharaba hoga..
zulm hoga na kahin khoon kharaba hoga

os aur dhoop ke sadme na sahega koi..
ab mere des me beghar na rahega koi

naye vaadon ka jo daala hai, wo jaal accha hai..
rehnumaaon ne kaha hai ki ye saal accha hai..

humko maalum hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke khush rakhne ko Ghalib ye khayal accha hai..